Poems

Main bach gayi maa

Main bach gayi maa, main bach gayi maa
Tere kachhe lahu ki mehndi mere por por men rach gayi maa
 
Gar mere naqsh ubhar aate, vo phir bhi lahu se bhar jaate
Meri aankhen raushan ho jaatin to tezaab ka surma lag jaata 
 
Sate-wate men bat jaati, ya kaari men kaam aa jaati
Har khwaab adhoora reh jaata 
 
Mera qad jo thora sa barhta, mere baap ka qad chhota parta
Meri chunni jo sar se dhalak jaati, mere bhaai ki pagri gir jaati
 
Teri lori sunne se pehle main apni neend men so gayi maa
Anjaan nagar se aai thi, anjaan nagar men kho gayi maa
 
Main bach gayi maa, main bach gayi maa
Tere kachhe lahoo ki mehndi mere por por men rach gayi maa
Main bach gayi maa
 
[Note: n in italics - the ’n’ is not pronounced, it just indicates that the vowel before is nasal]